Wednesday, March 26, 2014
Gäzäl - naämaä
Lyrics by Qateel Shifai
तूने ये फूल जो जुल्फोमे सजा रखा है
इक दिया है जो अंघेरोंमे जला रखा है
ले जाये कोई मुझको जीत कर नसीबो वाला
जिन्दगी ने मुझे दाँवपे लगा रखा है
जाने कब दिलमे कोइ झांकने वाला आ जाये
इसीलिए मैंने गिरेबांन खुला रखा है
इम्तहान और मेरी ज़ब्त का तुम क्या लोगे
मैंने घड़कन को भी सीने मे छुपा रखा है
दिल था एक शोला मग़र बीत गये दिन वो 'क़तिल'
अब खुरेदो न इसे राख मे क्या रखा है
Gäzäl - naämaä
Lyrics by Saleem Kausar
मैं खयाल हुँ किसी और का
मुझे सोचता कोई और है
सर-ए- आईना मेरा अक्श है
पश-ए-आईना कोई और है
mai.n Khayaal huu.N kisii aur kaa
mujhe sochataa ko_ii aur hai
sar-e-aa_iinaa meraa aks hai pas-e-aa_inaa ko_ii aur h
(Sar-e-Aaiinaa: In front of the mirror, Aks: Image, Reflection, Pas-e-Aaiinaa: Behind the mirror, a reflection in the mirror)
मैं किसीके द़स्त-ए- तलब मे हुँ
तो किसके हर्फ-ए- दुआ मे हुँ
मैं नसीब हुँ किसी और का
मुझे माँगता कोई और है
mai.n kisii ke dast-e-talab me.n huu.N
to kisii ke harf-e-duaa me.n huu.N
mai.n nasiib huu.N kisii aur kaa
mujhe maa.Ngataa ko_ii aur hai
(Dast-e-Talab: Under the power of, Harf-e-Duaa: In every prayer/wish)
तुझे दुश्मनो की खबर न थी
मुझे दोस्तों का पता नहीं
तेरी दास्तान कोई और थी
मेरा वाक़या को और है
tujhe dushmanon ki khabar na thi,
mujha doston ka pataa na tha
teri daastaan koi aur thi, mera vaakayaa koi aur hai
(Daastaan: Story, Fable, Tale, Vaakayaa: Event, Ongoing, Occurrence, Reality)
अजब ऐतबार बा-ऐतबारी के
दरमियान् है जिन्दगी
मैं करीब हुँ किसी और के
मुझे जानता कोई और है
ajab aitabaar ba-aitabaarii ke daramiyaa.N hai zindagii
mai.n qariib huu.N kisii aur ke mujhe jaanataa ko_ii aur hai
(Ajab: Strange, Aitabaar: To Trust, Believe, Ba-Aitabaar: Without trust, without belief)
वहीं मुनसीफो की रिवायतें
वहीं फैसलों की इबारतें
मेरा जुर्म तो कोई और था
पर मेरी सज़ा कोई और है
vahii munsifo.n kii rivaayate vahii faisalo.n kii ibaarate meraa jurm to ko_ii aur thaa par merii sazaa ko_ii aur hai
(Munsif: Judge, Rivaayat:Tradition, Faisala: Decision,Ibaarat: Composition, Diction,Wording)
जो मेरी रीयाझत-ए-नीम-सब़ को 'सलीम'
सुबह ना मिल सकीं
तो फिर इसके मानि तो ये हुए
के यहाँ खुदा कोई और है
jo merii riyaazat-e-niim_shab ko “Saleem”
subah na mil sakii
to phir is kii maanii to ye hue ke yahaa.N Khudaa ko_ii aur hai
(Riyaazat: Spiritual practice, prayer, Niim-Shab: Midnight,Saleem: A reference to the poet, Saleem Kausar)
Gäzäl - naämaä
Lyrics by Momin khan Momin
रोया करेंगे आप भी पह़रो इसी तरह
अटका कहीं जो आपका दिलभी मेरी तरह
roya karenge ap bhi pahron isi tarah
atka kahin jo ap ka dil bhi meri tarah
(Pahron : parts of day/ night, 'prahar'= subah, dopahar, sham, raat)
ना ताब़ हिज्रमे है ना आराम वस्लमे
कम्बख्त दिलको चैन नहींहै किसी तरह
na tab hijr main hai na aram wasl main
kambakht dil ko chain nahin hai kisi tarah
( tab: respite, hijr: separation, wasl: Meeting)
मर चूक कहेके तू गम-ए-हिज्रा से छूट जाये
कहते तो है भलेकी वो लेकिन बुरी तरह
(gam- e- hijran: pain of separation)
mar chuk kahen ke tu gam-e-hijran se chut jayen
kahte to hain bhale k wo lekin buri tarahna
ना जाये वाँ बनीहै ना बीन जाये चैन है
क्या किजीए हमें तो है मुश्किल सभी तरह
na jaye wan bane hai na bin jaye chain hai
kya kijiye hamain to hai mushkil sabhi tarah
(wan: 'baat' reason)
हुँ जान-बलब बूतान-ए-सितमग़र के हाथ से
क्या सब जहाँ मे जी ते है 'मोमीन' इसी तराह
hun jan-balab butan-e-sitamgar k hath se
kya sab jahan main jite hain “Momin” isi tarah
Friday, March 30, 2012
Mirza Ghalib: ishq mujko nahee wehshat hi sahee
1. ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee
meree wehshat, teree shohrat hee sahee
[ wehshat = solitude, shohrat = fame ]
2. qata`a keeje na ta`alluq ham se
kuchch naheeN hai to `adaavat hee sahee
[ qata'a = break/intercept, ta'alluq = relation/connection,
'adaavat = hatred/animosity ]
3. mere hone meiN hai kya ruswaaee ?
'ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahee
[ majlis = assembly, KHalwat = isolation ]
4. ham bhee dushman to naheeN haiN apne
GHair ko tujh se mohabbat hee sahee
5. apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho !
aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee
[ hastee = existence, aagahee = knowledge/information,
GHaflat = negligence ]
6. 'umr harchand ke hai barq-e-KHiraam
dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee
[ barq = lightning, KHiraam = manner of walking ]
7. ham koee tarq-e-wafa karte haiN
na sahee ishq, museebat hee sahee
[ tarq = relinquishment ]
8. kuchch to de 'ei falak-e-na_insaaf
aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee
[ falak = sky ]
9. ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge
be_niyaazee teree `aadat hee sahee
[ tasleem = greeting/saluting, KHoo = habit,
be_niyaazee = independence ]
10. yaar se cheDa chalee jaay, 'Asad'
gar nahee wasl to hasrat hee sahee
[ wasl = meeting, hasrat = desire ]

Sunday, December 25, 2011
Mirza Ghalib: hai aur bhi duniya mey sukhanvar bahot achche, kahte hey ki 'Ghalib' ka hey andaaz-e-bayan aur '
Ghalib
hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur
[ gumaaN = doubt /suspicion ]
2. yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur
3. abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur
[ abroo = eyebrow, paiband = patch ]
4. tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
le aayenge baazaar se jaakar dil-o -jaaN aur
5. harchand subak_dast hue but_shikanee meiN
ham haiN, to abhee raah meiN hai sang -e-giraaN aur
[ subak_dast (or sabuk_dast both are correct) = expert,
but_shikanee = iconoclast , sang = stone, giraaN = heavy ]
6. hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur
[ deeda = eye, KHooNnaaba = mixture of blood and water,
{KHooNnaaba = KHooN (= blood) + aab (= water)}, fishaaN = shed
/spread, KHooNnaaba_fishaaN = to sheds tears of blood ]
7. marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay
jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'
[ jallaad = executioner ]
8. logoN ko hai KHursheed-e-jahaaN taab ka dhoka
har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e -nihaaN aur
[ Khursheed = sun, taab = power/courage, nihaaN = hidden ]
9. leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn
karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur
[ fuGHaaN = clamour ]
10. paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
ruktee hai meree tab' a to hotee hai ravaaN aur
[ naale = lamentation, tab'a = temperament ]
11. haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz- e-bayaaN aur
[ suKHanwar = poet ]

Subscribe to:
Posts (Atom)