Ghalib
fir mujhe deeda -e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e -fariyaad aaya
[ deeda-e- tar = wet eyes, tashna ( or tishna ) = thirsty ]
2. dam liya tha na qayaamat ne hanoz
fir tera waqt-e -safar yaad aaya
[ hanoz = yet/still ]
3. saadgee haay tamanna, yaanee
fir wo nai_rang- e-nazar yaad aaya
[ nai_rang = fascinating ]
4. uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil
naala karta tha jigar yaad aaya
[ uzr = excuse, waamaaNdagee = tiredness ]
5. zindgee yoN bhee guzar hi jaatee
kyoN tera raahguzar yaad aaya ?
6. kya hee rizwaaN se laDaayee hogee
ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya
[ rizwaaN = doorkeeper of paradise, KHuld = heaven/paradise ]
7. aah woh jurat-e -fariyaad kahaaN
dil se tang aake jigar yaad aaya
[ jurat = courage/valour ]
8. fir tere kooche ko jaata hai KHayaal
dil-e-gumgashta magar yaad aaya
[ koocha = a narrow street/lane, gumgashta = missing ]
9. koee weeraanee-see-weeraanee hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
[ dasht = desert ]
10. maiNne majnooN pe laDakpan meiN ' Asad'
sang uTHaaya tha ki sar yaad aaya
[ sang = stone ]
No comments:
Post a Comment