Ghalib
bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona
aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona
[ dushwaar = difficult, muyassar = possible ]
2. giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki
dar-o-deevaar se Tapke hai bayaabaaN hona
[ giriyaaN = weeping, kaashaana = house, bayaabaaN = wilderness ]
3. waa-e-deewaangee-e -shauq, ke har dam mujhko
aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona
4. jalva az_ bas ki taqaaza-e- nigah karta hai
jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona
[ az = from/then/by, jauhar = skill/knowledge, mizhgaaN = eyelid ]
5. ishrat-e-qatl_gah- e-'ehl-e-tamanna mat pooch
id-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona
[ ishrat = joy/delight , shamsheer = sword, uriyaaN = naked/bare ]
6. le gaye KHaak meiN ham daaGH-e- tamanna-e-nishaat
too ho aur aap ba_sad_rang-e- gulistaaN hona
[ nishaat (or nashaat) = enthusiasm/happiness , sad_rang = hundred
colours ]
7. ishrat-e-paara-e -dil, zaKHm-e- tamanna_KHaana
lazzat-e-reesh-e -jigar GHarq-e- namakdaaN hona
[ ishrat = joy/delight , paara = fragment /piece, lazzat = taste ,
reesh = wound, GHarq = drown/ sink, namakdaaN = container to
keep salt ]
8. kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
haay us zood_ pashemaaN ka pashemaaN hona
[ jafa = oppression , zood = quickly, pashemaaN = ashamed/
embarrassed ]
9. haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib'
jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona
[ haif = alas !, girah = one sixteenth of a yard, girebaaN = collar ]
No comments:
Post a Comment